Saturday, September 29, 2018

Venn Diagrams

Venn Diagrams

Venn Diagrams
Saturday, September 29, 2018
To aap jaanna chahte hai ki Venn Diagrams kya hain aur Venn Diagrams ka use kaha par hota hai? Agar aap jaanna chahte hain Venn Diagrams ke baare mein to aap is waqt ek dum sahi jagah par hain.

Friends iss article mein me aapko bataane waala hoon Venn Diagrams ke baare mein. To bane rahiye mere saath iss article ke end tak!

Friends maine apne previous article mein aapko set ke baare mein bataya tha aur set ke kitne types hote hain ye bhi bataaya tha. Agar aapne mere unn articles ko padh liya hai to aap aage proceed kijiye aur agar aapne wo articles nahi padhe hain to pehle unko padhiye kyuki ye article aapko tabhi samajh mein aayenga jab aapne wo articles padh kar samajh liye ho. Unn articles ko padhne ke liye iss blue link par click kijiye >>>


 Read Also: 



To chaliye ab start karte hain aaj ka topic- Venn Diagrams.

Let's Begin... 

Venn Diagrams 


Sets ke beech ke bahut saare relationships ko kuch diagrams ke maadhyam se represent kiya jaa sakta hai jisko 'Venn Diagrams' kehte hain. Venn diagram - ye naam(name) ek English logician 'John Venn' (1834 -1883) ke naam(name) par rakha gaya hai. Venn diagrams rectangle aur closed curves usually circles jaise shapes se milkar(consist of) bantaa hai. Venn diagram main Universal set ko usually ek rectangle se aur uske subsets ko circles se show kiya jaata hai. Hum iss rectangle aur circles ko apne suvidha ke according kisi bhi size ka (chhota ya bada) bana sakte hain. 
Venn diagrams mein, set ke elements ko unke circles ke andar likhte hain. 

Chaliye Venn diagrams ko samjhane ke liye kuch examples lete hain. 

Ex.1. A = {1, 2, 3}, B = {4, 5, 6}, U = {1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10}. Show the sets in Venn diagram.

Solution: 



Ex.2. A = {a, b, c}, B = {a, d, e} and U = {a, b, c, d, e, f}. Show the relation between sets in Venn diagram. 

Solution: 
Venn diagram of sets



Ex.3. Let A = {1, 2, 4}, B = {1, 2, 6}, C = {1, 4, 8} and U = {1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10}. Show the information using Venn diagram. 

Solution: 
Venn diagram of sets



To ab aap samajh gaye honge ki Venn diagrams kaise banaate hain. 

Chaliye ab kuch situations ke Venn Diagrams dekh lete hain jo aksar(often) Set Theory mein dekhne ko milte hain. 

Some Common Venn Diagrams of Sets

For two sets:

(i) A⋃B

Venn diagram A union B
Coloured part is A⋃B.
(If A⋂B ≠ Φ)

Venn diagram A union B
Coloured part is A⋃B.
(If A⋂B = Φ)

(ii) A⋂B

Venn diagram A intersection B
Coloured part is A⋂B.
(If A⋂B ≠ Φ)

Venn diagram A intersection B
If A⋂B = Φ then Venn Diagram is not possible so there is no coloured part.

For three sets:

(i) A⋃B⋃C

Venn diagram A union B union C
Coloured part is A⋃B⋃C.
(If A⋂B⋂C ≠ Φ)

Venn diagram A union B union C
Coloured part is A⋃B⋃C.
(If A⋂B⋂C = Φ)


(ii) A⋂B⋂C

Venn diagram A intersection B intersection C
Coloured part is A⋂B⋂C.
(If A⋂B⋂C ≠ Φ)

Venn diagram A intersection B intersection C
If A⋂B⋂C = Φ then Venn Diagram is not possible so there is no coloured part.

Read More:





I hope ki mera ye article aap ko pasand aaya hoga. Agar aap ko mera ye article pasand aaya ho to comment karke hame bata sakte hain. Aapke dwaara kiye gaye comment se hame iss tarah ke post/article ko likne ke liye motivation milta hai.


THANKS FOR READING THIS BLOG.

Related Posts

  • What are Intervals ? Friends aaj hum baat karne waale hain intervals ki. Iss article mein me aapko bataane waala hoon in…
  • Union of Sets Friends, iss article mein hum seekhenge ki sets ke Union ka kya matlab hota hai aur agar hame do(tw…
  • Venn Diagrams To aap jaanna chahte hai ki Venn Diagrams kya hain aur Venn Diagrams ka use kaha par hota hai? Agar…
  • Symmetric Difference of Sets Friends, iss article mein hum seekhenge ki sets ke Symmetric Difference ka kya matlab hota hai aur …
Venn Diagrams
4/ 5
Oleh

Comments